ye dil ho armano ki raat ho
ye dil ho armano ki raat ho
chhute chahe sara jaha
bas tera ek sath ho
bhulne wale se koi kehde zara
yu kisi ko satane se kya faeda
jab mere dil ki dunia basate nahi
har ghadi yad ane se kya faeda
char tinke jalane se kya mil gaya
mit saka na zamane se mera vajood
mujhpe bijli girate to kuch baat thi
ashiyana jalane se kya faeda
dekhte dekhte yu badalte gaye
ate ate bada inkalab a gaya
sehte sehte sitam se mai ghabra gaya
jan lelo rulane se kya faeda
rafta rafta vo meri hasti ka saya ho gaye
pehle ja fir janeja fir janejana ho gaye
din pe din badhte gayi ye husn ki ranaiya
pehle gul fir gulbadan fir gulbadama ho agye
aap to nazdik se nazdiktar ate gaye
pehle dil fir dulliba fir dil k mehma ho gaye
pyar jab hadd se bhada sare takalluf mit gaye
aapse fir tum hue fir tu ka unva ho gaye
Comments
Post a Comment