Posts

Showing posts from August, 2021

ye dil ho armano ki raat ho

ye dil ho armano ki raat ho chhute chahe sara jaha bas tera ek sath ho bhulne wale se koi kehde zara yu kisi ko satane se kya faeda jab mere dil ki dunia basate nahi har ghadi yad ane se kya faeda char tinke jalane se kya mil gaya mit saka na zamane se mera vajood mujhpe bijli girate to kuch baat thi ashiyana jalane se kya faeda dekhte dekhte yu badalte gaye ate ate bada inkalab a gaya sehte sehte sitam se mai ghabra gaya jan lelo rulane se kya faeda rafta rafta vo meri hasti ka saya ho gaye pehle ja fir janeja fir janejana ho gaye din pe din badhte gayi ye husn ki ranaiya pehle gul fir gulbadan fir gulbadama ho agye aap to nazdik se nazdiktar ate gaye pehle dil fir dulliba fir dil k mehma ho gaye pyar jab hadd se bhada sare takalluf mit gaye aapse fir tum hue fir tu ka unva ho gaye

Mai tera hu tu mera hai

mai tera hu tu mera hai fir kisliye mujhse parda hai tum swami ho mai sewak hu fir mujhko ishara kon kare (mai or mera yar ek hi baski me baste hai tajub ye hai ki dono milne ko teraste hai)  mai kya janu tum mere ho is raaz ko afsa kon kare maine jana tum or kahi mai or kahi mere mohan  mai tumse juda tum mujhse juda fir preet ka sikva kon kare  gar mujhse juda hi rehna tha  kyo chin lia tha dil mera hum bedil hokar jae kaha  is baat ki charcha kon kare  hum dil ko lagake bhul gaye  tum humse karoge asi jafa (anyay)

Is mast ae nazar ne cheda hai

is mast ae nazar ne cheda hai ab darde jigar ka kya hoga jo zakhm bana ho marham se  us zakhm ka marham kya hoga Parda to abhi sarka hi nahi bechain hai dil fir kyo itna jab milke nigahe bichdegi us vaqt ka alam kya hoga ye dil ki lagi koi khel nahi is aag ka bhujna muskil hai jo aag lagai ho aasuo ne us aag ka hashr kya hoga is mast ae nazar ne cheda hai ab darde jigar ka kya hoga... (Jate hue keh gaye ki ve ab sirf hamare khwabo me hi aenge tu jake keh dena unse vo vada to kare hm zindagi bhar k liye so jaenge) jate hue kehte hai log aksar zinda rahe to fir milenge par tumse milkar dil ne mehsoos kia ye pal pla agar tum milte rahoge to hm zinda rahenge.