Hum dunia lutae baithe hai

kya jane koi darde dil
hum dunia lutae baithe hai
khamosh hai lab lekin dil me
toofan chhipae baithe hai

unko kya meri wafao se
ve to lagte hai begane
lekin hum unki ulfat me
hum kasme khae baithe hai
kyo,
ye ishq wafa nachiz hai kya
ye ishq wala nachiz hai kya
jo husn se hare baithe hai
kuch bhi ho uske sijde me
hum sar ko jhukae baithe hai

kya jane zamane se darkar
kya jane zamane se darkar
vo (Shree Krishna) din me milne na aae ho
(ki kahi koi dekh na le kyoki bahunayak h bahut charchit hai sab jante hai)
kya jane zamane se darkar
kya jane zamane se darkar
vo (Shree Krishna) din me milne na aae ho
milne ko isliye rato ki
hum ninde udae baithe hai

ae jan e tamanna a jao
manmohan pyare a jao
bardash nahi ab tanhai
(pyare jo tere sath rehkar jo mne sukh ka ehsas kia, ki us sukho ka ehsas krke tere bin rha nhi jata)
bardash nahi ab tanhai
humrahi banne ko hum to
hum baahe failae baithe hai
kya jane koi darde dil
hum dunia lutae baithe hai

Jai Shree Shyam
Jai Shree Krishna

 

 



Comments

Popular posts from this blog

Bulavo ayo hai

Bol Kunsa bhajan sunau sawra

shyam dhani se milva tai mando tarse