Hum dunia lutae baithe hai
kya jane koi darde dil hum dunia lutae baithe hai khamosh hai lab lekin dil me toofan chhipae baithe hai unko kya meri wafao se ve to lagte hai begane lekin hum unki ulfat me hum kasme khae baithe hai kyo, ye ishq wafa nachiz hai kya ye ishq wala nachiz hai kya jo husn se hare baithe hai kuch bhi ho uske sijde me hum sar ko jhukae baithe hai kya jane zamane se darkar kya jane zamane se darkar vo (Shree Krishna) din me milne na aae ho (ki kahi koi dekh na le kyoki bahunayak h bahut charchit hai sab jante hai) kya jane zamane se darkar kya jane zamane se darkar vo (Shree Krishna) din me milne na aae ho milne ko isliye rato ki hum ninde udae baithe hai ae jan e tamanna a jao manmohan pyare a jao bardash nahi ab tanhai (pyare jo tere sath rehkar jo mne sukh ka ehsas kia, ki us sukho ka ehsas krke tere bin rha nhi jata) bardash nahi ab tanhai humrahi banne ko hum to hum baahe failae baithe hai kya jane koi darde dil hum dunia lutae baithe hai Jai Shree Shyam Jai Shree Krishna